Zehno’n Mein Bigaad – Asif Barkhiya Ghazal
Dil daagdaar hai apni hi andhi rawish se
Nifaaq hai ajab sa har galat khwahish se
Akhlaaq ke na hone mein hai sab fasaad
Shararat hai shaitaani kaise har saazish se
Shubhaat se afsaane tafraqa se kasheedgi
Tamashaa hai barham har ek ranjish se.
Zehno’n mein bigaad ho to kya kiya jaye
Har gunah uljhaaye hai apni kashish se
Kis se puchey ab kisi ko kaise samjhaa’en
Har ek ka aalam hai apni apni gardish se.
Laa-ilmi se jahalat aur guroor se hai ana
Fitna hi fitna hai yahan har ek lagzish se
Khutbaat apni jagah vaaiz ka kya qusoor
Sun kar bhi be-asar hai koi apni khalish se.
The post Zehno’n Mein Bigaad – Asif Barkhiya Ghazal appeared first on Urdu Poetry.
from Urdu Poetry https://ift.tt/2GX0sgi
No comments