Na Koi Shohrat chaiye – Asif Barkhiya Ghazal
Mujhey fan-e- shaa’eri se na koi shuhrat chahiyeh
Mere ash’aar mein na wazn wo bahr se nusrat chahiyeh.
Koi dooba hai aalam-e-afkaar wo tasawwuraat mein
Main duur hi sahih mujhey na wahshat chahiyeh
Koi pareshaan hai apne naqis khwaabon ko lekar
Mera kalaam hai saada mujhey sirf sadaqat chahiyeh.
Suna hai hum ne bhi mashoor shaairon ki zubaani
Un jaisa hum ko na naamwaree wo wajaahat chahiyeh
Sukhan wo paigaam apna hai auron se mukhtalif
Baat hai haqq ki phir hum ko haqeeqat chahiyeh.
Gamgeen ghazlon wo gumraah nagmon se kya waasta
Hum ko apni nafs ki lagzishon se na koi illat chahiyeh
Kaise kaise hain bikhrey huwe khayalaat ki waadiyaan
Isi liye hum ko bad-kalaami se na koi zillat chahiyeh.
Ya Rabb! Koi marsiya se to koi junoon se taar-taar hai
Hum ko raah-e-raast se faqat achchi aaqibat chahiyeh
Be-tukee shaa’eri se to behtar hai ash’aar-e-hikmat
Saadiq alfaaz ki rawaanee se hum ko nisbat chahiyeh.
The post Na Koi Shohrat chaiye – Asif Barkhiya Ghazal appeared first on Urdu Poetry.
from Urdu Poetry https://ift.tt/2NFnoRU
No comments